Khona hi tha naseeb to kyo khwab bana liye
pana na tha jinhe to kyo dil me basaa liya
Muddat se baithi hau eanhi tanha khyalo me
kyo dil ko dhadkaya aur yu raaj chupa liye
Nazuk sa ek jhoka bhi kyo de gaya sadaa
kyo gam ke samandar me dubaate chale gaye
Gar shauk na hota gam se khelne ka mujhe
humraaz na banaate aur na gam jo udhar me liye
Hum apne hi wajood ko dhundte rahe tujhme
Na tu mila sanam aur apna wajood bhi kho diya
Kyo dhekte hai sab mujhko yu aankh utha kar
har mod har jagah bas khwaab toda kiye
Kyo raaj dil se bayan ho pata nahi
bas dil ka dekha haal aur fir ghum hi ho gaye